Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


Gain knowledge.
 
HomeLatest imagesSearchRegisterLog in

 

 Woh jazbon ki tijarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha

Go down 
AuthorMessage
Administrator
Admin
Administrator


Posts : 107
Join date : 2009-01-08
Location : USA

Woh jazbon ki tijarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha Empty
PostSubject: Woh jazbon ki tijarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha   Woh jazbon ki tijarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha EmptySat Jan 10, 2009 9:40 am

Woh jazbon ki tijarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Usay hansnay ki aadat thi, yeh dil kuch aur samjha tha

Mujhay us nay kaha aao nai dunya basatay hain
Usay soojhi shararat thi, yeh dil kuch aur samjha tha

Hamesha us ki aankhon main dhanak kay rang hotay thay
Ye us ki aam aadat thi, yeh dil kuch aur samjha tha

Woh meray pass bethi dair tuk ghazlain meri sunti
Uaay khud say muhabbat thi, yeh dil kuch aur samjha tha

Meray kandhay pe sir rukh ker kaheen kho gai thi wo
Yeh ik waqti inayat thi, yeh dil kuch aur samjha tha

Mujhay wo daikh ker aksar nigahain phair leti thi
Yeh dur perda haqarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Back to top Go down
https://apnimehfil.forumotion.com
 
Woh jazbon ki tijarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Back to top 
Page 1 of 1

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
 :: Gup Shup :: Urdu Poetry-
Jump to: